in ghaTaon mein ujale ka basera hi sahi
KHair agar aap ba-zid hain to sawera hi sahi
ai gham-e-zist bulati hain mahakti zulfen
aaj ki raat ye pur-nur andhera hi sahi
dil mein jo aag lagi hai wo kahan bujhti hai
rah shadab sahi abr ghanera hi sahi
hoshiyar ahl-e-KHirad KHak-nashin aa pahunche
aap ke zoam ka aflak pe Dera hi sahi
tu pareshan na ho KHaliq-e-firdaus-e-barin
ye jahannam ye jahan aaj se mera hi sahi
kitni yaaden hain ki nagin ki tarah Dasti hain
'nur' un galiyon ka ek aaKHiri phera hi sahi
Ghazal
In ghaTaon mein ujale ka basera hi sahi
Noor Bijnauri