in donon ghar ka KHana-KHuda kaun ghair hai
shaiKH-e-haram abas the inkar-e-dair hai
ai yar-e-be-KHabar tu meri le na le KHabar
wird-e-zaban tera hi mujhe zikr-e-KHair hai
ghibat mein kya talluq use yaad se meri
kuchh kaam us ka aTka bhala mujh baghair hai
parwa hai kab use mere rafa-e-malal se
gah shaghil-e-shikar kabhi gasht-e-sair hai
be-wajh kya hain hum se ye be-ruiyan teri
kya hum mein aur tujh mein kisi ru se bair hai
insan rakkhe ishq ki nisbat se imtiyaz
yun qaid-e-KHwab-o-KHur mein to har wahsh wa tair hai
apni gali mein dekh ke 'hasrat' ko bola yar
chal ja pare ho dur agar teri KHair hai
Ghazal
In donon ghar ka KHana-KHuda kaun ghair hai
Hasrat Azimabadi