in dinon wo idhar nahin aata
apna jina nazar nahin aata
us ki wada-KHilafiyan dekho
aane kahta hai be-par nahin aata
ghar-ba-ghar tu paDa phire hai to
aah kyun mere ghar nahin aata
qasid us bewafa se yun kahna
likh tu kuchh bhej gar nahin aata
go ki rahta hai ye jaras nalan
mere nalon se par nahin aata
yar raaton ko tere kuche mein
kab ye KHasta-jigar nahin aata
aur kahte nahin raqib use
lab kuchh mujh ko Dar nahin aata
kis liye 'joshish' itni nala-kashi
kuchh asar to nazar nahin aata
Ghazal
In dinon wo idhar nahin aata
Joshish Azimabadi