in dinon tez bahut tez hai dhaara mera
donon jaanib se hi kaTta hai kinara mera
sard ho jati hai har aag bil-aKHir ek din
dekhiye zinda hai kab tak ye sharara mera
nafa-dar-nafa se bhi kya kabhi zail hoga
ruh par bojh bana hai jo KHasara mera
hai ye aalam ki nahin KHud ko mayassar main bhi
kaise ab hota hai mat puchh guzara mera
yahi chakkar mujhe markaz se alag rakhta hai
KHush-nasibi hai ki gardish mein hai tara mera
meri majburi hai lafzon mein nahin kah sakta
aur samajhta hi nahin koi ishaara mera
KHas number kai baqi hain murattab karne
hai jahan tera bas ek aam ishaara mera
log hairat hai samajhte hain mujhe ghairat-mand
baat-be-baat jo chaDh jata hai para mera
wo nazar ho jo mujhe chaak hi kar Dale 'suhail'
warna khulne ka nahin ramz-e-nazara mera
Ghazal
In dinon tez bahut tez hai dhaara mera
Suhail Akhtar