in dar-o-diwar ki aankhon se paTTi khol kar
Dubte suraj ka manzar dekh khiDki khol kar
ashk aankhon mein agar kuchh hain to kar shab ka safar
raste mein aasman baiTha hai jholi khol kar
aur kuchh taza lakiren shakl ke KHake pe hain
dekh apne hath ka aaina muTThi khol kar
paikar-e-mafhum ban kar bhi kabhi pahlu mein aa
lafz dete hain sada bab-e-maani khol kar
sath-e-dariya par bhaDak uThi hai phir maujon ki aag
kaun is tufan mein utrega kashti khol kar
le uDe tair qafas ki tiliyan parwaz mein
ab gale mein Dal de pairon se rassi khol kar
baDh gai kuchh aur pyasi ketiyon ki tishnagi
abr chhaya tha magar barsa nahin ji khol kar
ho gae aabaad mere jism ke diwar-o-dar
kaun ghar mein aa gaya darwaza KHud hi khol kar
dhup mein sukhe hue patte hawa dene lage
band lab goya hue qufl-e-KHamoshi khol kar
kya ajab 'shahid' ki meri dastan is mein bhi ho
jo kitab ek bar bhi main ne na dekhi khol kar

Ghazal
In dar-o-diwar ki aankhon se paTTi khol kar
Saleem Shahid