in chaTaKHte pattharon par panw dharna dhyan se
Dhal chuki hai sham wadi mein utarna dhyan se
jamid-o-sakit sahi diwar-o-dar bahre nahin
ghar ki tanhai ho phir bhi baat karna dhyan se
kan mat dharna kisi aawaz par kaisi bhi ho
koi roke bhi to raste mein Thaharna dhyan se
dekhna saya kahin koi taaqub mein na ho
shahr ki viran galiyon se guzarna dhyan se
rah mein dekho koi manzar to rakhna zehn mein
phir kahin fursat mile to rang bharna dhyan se
kitne suraj tum se pahle is safar mein jal-bujhe
is jahan-e-tira-KHatir par ubharna dhyan se
waqt ke sath apne andaze ghalat nikle 'bashir'
kis qadar mushkil hai pyaron ka utarna dhyan se
Ghazal
In chaTaKHte pattharon par panw dharna dhyan se
Basheer Ahmad Basheer