in bala ki aandhiyon mein ek shajar baqi rahe
faKHtaon ke liye koi to ghar baqi rahe
ek tara ek dipak ek jugnu hi sahi
raat ki diwar mein koi to dar baqi rahe
chand ki kashti tah-e-dariya hui thi jis jagah
kuchh nishan baqi rahe koi bhanwar baqi rahe
jaane wale ko kabhi bhi lauT kar aana nahin
lauT aane ki bahar-surat KHabar baqi rahe
sard mausam mein uTha kar hath ye mangen dua
tan mein jaan baqi rahe jaan mein sharar baqi rahe
rah mein thak kar kahin par baiTh mat jaana 'shafiq'
ghar ki jaanib wapsi ka ek safar baqi rahe
Ghazal
In bala ki aandhiyon mein ek shajar baqi rahe
Shafiq Saleemi

