in andheron se pare is shab-e-gham se aage
ek nai subh bhi hai sham-e-alam se aage
dasht mein kis se karen aabla-pai ka gila
rahnuma koi nahin naqsh-e-qadam se aage
saz mein khoe rahe soz na samjha koi
dard ki Tis thi pazeb ki chham se aage
ai KHosha azm-e-jawan zauq-e-safar josh-e-talab
hadse baDh na sake apne qadam se aage
yaad hai lazzat-e-azar-e-mohabbat ab tak
dil ko milta tha sukun mashq-e-sitam se aage
surKH-ru hai jahan tariKH-e-do-alam 'ishrat'
KHun Tapka hai wahin nok-e-qalam se aage
Ghazal
In andheron se pare is shab-e-gham se aage
Ishrat Qadri