imtiyaz-e-husn-o-ulfat aashkara ho gaya
tum na mere ho sake aur main tumhaara ho gaya
jaane kya dil ko mohabbat mein sahaara ho gaya
ya KHushi bhi bar thi ya gham gawara ho gaya
main kahan aur jurat-e-arz-e-niyaz-e-dil kahan
han magar tera hi dar-parda ishaara ho gaya
kya mohabbat dar-haqiqat hai mohabbat ka jawab
tum bhi ho jaoge us ke jo tumhaara ho gaya
qalb-e-jurat-azma kuchh fitratan bebak hai
aur agar aise mein tera bhi ishaara ho gaya
shiddat-e-gham aur phir takid-e-zabt-e-ah bhi
lekin ek majbur-e-ulfat ko gawara ho gaya
ab to har ek baat par aankhon mein bhar aate hain ashk
chaar din mein haal kya 'naKHshab' tumhaara ho gaya
Ghazal
Imtiyaz-e-husn-o-ulfat aashkara ho gaya
Nakhshab Jaarchawi