imtihan lene chala hai meri binai ka
us ko andaza nahin baat ki gahrai ka
is liye rok liya uTTha hua hath hum ne
us ke har war mein andaz tha paspai ka
KHwab likhti rahin aankhen dar-o-baam-e-shab par
subh ek pahlu dikhati rahi sachchai ka
ajnabi ho gae ek chhat tale rahne wale
kuchh to kaffara ada karna tha yakjai ka
main ne manga tha zara der ko chehra apna
aaina de gaya ek zaKHm shanasai ka
banu-e-sham tere surmai aanchal se pare
koi sathi hai meri baadiya-paimai ka
ab chaTak ya na chaTak ghuncha-e-KHatir main ne
rasta chhoD diya dekhna purwai ka
us se mil kar hui har bar mohabbat taza
us ne badla nahin andaz pazirai ka

Ghazal
Imtihan lene chala hai meri binai ka
Narjis Afroz Zaidi