imtihan hum ne diye is dar-e-fani mein bahut
ranj khinche hum ne apni la-makani mein bahut
wo nahin us sa to hai KHwab-e-bahaar-e-jawedan
asl ki KHushbu uDi hai us ke sani mein bahut
raat din ke aane jaane mein ye sona jagna
fikr walon ko pate hain is nishani mein bahut
koyalen kukin bahut diwar-e-gulshan ki taraf
chand damka hauz ke shaffaf pani mein bahut
us ko kya yaaden thin kya aur kis jagah par rah gain
tez hai dariya-e-dil apni rawani mein bahut
aaj us mahfil mein tujh ko bolte dekha 'munir'
to ki jo mashhur tha yun be-zabani mein bahut
Ghazal
Imtihan humne diye is dar-e-fani mein bahut
Muneer Niyazi