imtihan-e-shauq mein sabit-qadam hota nahin
ishq jab tak waqif-e-adab-e-gham hota nahin
un ki KHatir se kabhi hum muskura uTThe to kya
muskura lene se dil ka dard kam hota nahin
jo sitam hum par hai us ki nauiyat kuchh aur hai
warna kis par aaj duniya mein sitam hota nahin
tum jahan ho bazm bhi hai shama bhi parwana bhi
hum jahan hote hain ye saman baham hota nahin
raat bhar hoti hain kya kya anjuman-araiyan
shama ka koi sharik-e-subh-e-gham hota nahin
mangta hai hum se saqi qatre qatre ka hisab
ghair se koi hisab-e-besh-o-kam hota nahin
Ghazal
Imtihan-e-shauq mein sabit-qadam hota nahin
Kaleem Aajiz