imkan se bahar kabhi aasar se aage
mahshar hai mere dida-e-KHun-bar se aage
irfan ki had ya mere paikar ki shararat
nikla mera saya meri dastar se aage
ek jins-zada nasl hai tahzib ke pichhe
bazar hai ek kucha-o-bazar se aage
suraj hai shab-o-roz taaqub mein wagarna
hai aur bahut raat ke asrar se aage
hum log ki manzil ke bhulawe ke giraftar
aasar se pichhe kabhi aasar se aage
Ghazal
Imkan se bahar kabhi aasar se aage
Khalid Karrar