imkan khule dar ka har aan bahut rakkha
is gumbad-e-be-dar ne hairan bahut rakkha
aabaad kiya dil ko hangama-e-hasrat se
sahra-e-tag-o-dau ko viran bahut rakkha
ek mauj-e-fana thi jo roke na ruki aaKHir
diwar bahut khinchi darban bahut rakkha
taron mein chamak rakkhi phulon mein mahak rakkhi
aur KHak ke putle mein imkan bahut rakkha
jalti hui batti se gul phuT nikalte hain
mushkil se bhi mushkil ko aasan bahut rakkha
kuchh hai jo nahin hai bas wo kya hai KHuda jaane
yun apni samajh se hum saman bahut rakkha
mashkuk hai ab har shai aankhon mein 'suhail' apni
hum ne but-e-kafir par iman bahut rakkha
Ghazal
Imkan khule dar ka har aan bahut rakkha
Suhail Ahmed Zaidi