imarat ka koi nashsha nahin tha
ana ke ghar se jab nikla nahin tha
mujhe to yaad hi aata nahin hai
koi lamha ki jab taDpa nahin tha
main sab ke waste achchha tha lekin
usi ke waste achchha nahin tha
magar tashbih us ko kis se dete
abhi to chand bhi nikla nahin tha
ajab ayyam-e-shauq-e-did guzre
kabhi raaton ko main sota nahin tha
hamare KHwab mein sae kai the
kisi ke dosh par chehra nahin tha
khuli jo aankh to dekha ye main ne
abhi to hashr hi barpa nahin tha
Ghazal
Imarat ka koi nashsha nahin tha
Kausar Mazhari