اردو हिंदी
Ilzam ek ye bhi uTha lena chahiye | Shaahi Shayari
ilzam ek ye bhi uTha lena chahiye

Ghazal

Ilzam ek ye bhi uTha lena chahiye

Zafar Iqbal

;

ilzam ek ye bhi uTha lena chahiye
is shahr-e-be-aman ko bacha lena chahiye

ye zindagi ki aaKHiri shab hi na ho kahin
jo so gae hain un ko jaga lena chahiye

wo kis taraf chala hai lagae koi suragh
main kis taraf rawan hun pata lena chahiye

yani qimar-e-ishq mein kya kuchh hai daw par
is raaz-e-wa-shagaf ko pa lena chahiye

kaisa hai kaun ye to nazar aa sake kahin
parda ye darmiyan se haTa lena chahiye

dil par jo yaadgar rahe us ke makr ki
aisa bhi koi naqsh bana lena chahiye

is tarah bhi chala hai kabhi karobar-e-shauq
ruThe koi to us ko mana lena chahiye

kijiye na kyun mutalba-e-wasl ai 'zafar'
ki hai wafa to is ka sila lena chahiye