اردو हिंदी
Iltijaen karne wale ko dua se kya gharaz | Shaahi Shayari
iltijaen karne wale ko dua se kya gharaz

Ghazal

Iltijaen karne wale ko dua se kya gharaz

Bismil Saeedi

;

iltijaen karne wale ko dua se kya gharaz
jis ko ho tujh se gharaz us ko KHuda se kya gharaz

pi raha hai muskura kar jam-e-sehat maut ka
tere bimar-e-mohabbat ko shifa se kya gharaz

ishq kashti apni KHud kheta hai apne zor par
na-KHuda se wasta kya aur KHuda se kya gharaz

main hun aur ab aastan-e-ishq ki hain azmaten
ab mere sajdon ko tere naqsh-e-pa se kya gharaz

dil ko ab zauq-e-mohabbat ke maze aane lage
tujh se ab teri jafa se ya wafa se kya gharaz

o nigah-e-multafit be-faeda hai iltifat
dard hi dil mein nahin hai ab dawa se kya gharaz

ab ghaTaen mai-kade par chhain to main kya karun
be-dili ko dawat-e-ab-o-hawa se kya gharaz

ruh ko baalidgi ho jis mein ab wo dil nahin
ham-nashin mujh ko bahaar-e-jaan-faza se kya gharaz

kis qadar KHush rah ke mar jate hain mazluman-e-ishq
koi ye samjhe inhen roz-e-jaza se kya gharaz

qahr ko bhi jis ke ho ek darguzar se wasta
us ki rahmat ko mere jurm-o-KHata se kya gharaz

ab dil-e-nakaam mein wo nala-o-naghma kahan
'bismil' ek saz-e-shikasta ko sada se kya gharaz