iltija hai ijz-o-usrat kun-fakani aur hai
guftugu-e-be-samar mojiz-bayani aur hai
qarya-e-momin pe hamla kar to pahle soch le
ye ilaqa muKHtalif ye rajdhani aur hai
har adalat likh chuki hai faisla to kya hua
faisla baqi abhi ek aasmani aur hai
kuchh na kah kar bhi sadaqat bap ki manwa gae
asghar-e-be-shir teri be-zabani aur hai
ek misra kah ke 'abid' KHud ko na shaer samajh
shusta ghazlen hain kuja aur lan-tarani aur hai
Ghazal
Iltija hai ijz-o-usrat kun-fakani aur hai
Abid Kazmi