ilm-o-jah-o-zor-o-zar kuchh bhi na dekha jae hai
bazm-e-saqi mein dilon ka zarf jaancha jae hai
koshishen hain dasht khinch aae gulistan ki taraf
aur gulistan hai ki su-e-dasht khinchta jae hai
chashm-e-tar ek rah gai hai yaadgar-e-ahd-e-ishq
gahe gahe ye meri raaton ko chamka jae hai
ho chuke hain KHushk sab ehsas ke sote magar
qalb-e-shair hai jo thoDi si nami pa jae hai
bol miThe pyar ke honTon mein yun phanste hain aaj
tifl jaise ghar ke an-jaanon mein sharma jae hai
kuchh na kuchh nanhe se har tare ki lau deti hai aaj
go ba-zahir us pe shab ki tirgi chha jae hai
is taraf amn-o-baqa aur us taraf jang-o-fana
dekhiye ye karwan kis samt 'mulla' jae hai
Ghazal
Ilm-o-jah-o-zor-o-zar kuchh bhi na dekha jae hai
Anand Narayan Mulla