ilaj koi jahan ka na sazgar aaya
kisi tarah bhi na dil ko mere qarar aaya
payam maut ka le kar KHayal-e-yar aaya
ajal ki gard mein hi zist ko qarar aaya
nigah-e-lutf ke talib hain jo wo hain kam-zarf
hamein to ulTa jafaon pe teri pyar aaya
ye kis ki yaad se raushan hui 'mir' duniya
ye kis ka nam mere lab pe bar bar aaya
KHushi se baDh ke qadam mere aablon ne liye
koi jo rah mohabbat mein KHar-zar aaya
na koi lauT ke aaya dayar-e-ulfat se
jo koi bhi 'nayyar' ba-haal-e-zar aaya
Ghazal
Ilaj koi jahan ka na sazgar aaya
Nayyar Aasmi