ilaj-e-zaKHm-e-dil hota hai gham-KHwari bhi hoti hai
magar maqtal ki mere KHun se gul-kari bhi hoti hai
wahi qatil wahi munsif adalat us ki wo shahid
bahut se faislon mein ab taraf-dari bhi hoti hai
ye hai turfa-tamasha karbala-e-asr-e-hazir ka
gharon mein qatilon ke ab aza-dari bhi hoti hai
talluq un se TuTa tha na TuTa hai na TuTega
bahut mazbut zanjir-e-wafa-dari bhi hoti hai
wo mera dost hai 'manzur' lekin jab bhi milta hai
KHulus-e-dil mein shamil kuchh riya-kari bhi hoti hai

Ghazal
Ilaj-e-zaKHm-e-dil hota hai gham-KHwari bhi hoti hai
Malikzada Manzoor Ahmad