ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta
tum achchha kar nahin sakte main achchha ho nahin sakta
adu ko chhoD do phir jaan bhi mango to hazir hai
tum aisa kar nahin sakte to aisa ho nahin sakta
abhi marte hain hum jine ka tana phir na dena tum
ye tana un ko dena jin se aisa ho nahin sakta
tumhein chahun tumhaare chahne walon ko bhi chahun
mera dil pher do mujh se ye jhagDa ho nahin sakta
dam-e-aKHir meri baalin pe majma hai hasinon ka
farishta maut ka phir aae parda ho nahin sakta
na barto un se apnaiyat ke tum bartaw ai 'muztar'
paraya mal in baaton se apna ho nahin sakta
Ghazal
Ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta
Muztar Khairabadi