اردو हिंदी
Ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal | Shaahi Shayari
ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal

Ghazal

Ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal

Mirza Asman Jah Anjum

;

ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal
ki jhankta bhi hai wo sitam-gar to khaDkhaDi mein laga ke aanchal

zarur Dhaega koi aafat zarur fitna bapa karega
ye tera aTkheliyon se chalna jhuka ke gardan uTha ke aanchal

jo tum ko manzur hai phir aana tumhin kaho phir ye kaisa jaana
jata ke ghussa suna ke baaten chaDha ke tewari chhuDa ke aanchal

zamana furqat ka jae ya-rab wo waqt wo din bhi aae ya-rab
ada karun main tera dogana khaDe rahen wo bichha ke aanchal

zarur hain kuchh na kuchh kashida ki rahte hain dur dur hum se
jo pas bhi aa ke baiThte hain to zer-e-zanu daba ke aanchal

tumhein hai sahib lihaz kis ka ye kosna chupke chupke kaisa
dua karun main ragaD ke matha kaho tum aamin uTha ke aanchal

tera ye buTa sa qad qayamat pe chaal matwali aafat aafat
ye pyari surat sitam dupaTTa ghazab ki rangat bala ke aanchal

samajh le ye dil mein 'asman' tu wo loT hain tere loTne par
jo oDh kar laTpaTa dupaTTa luTate hain adbada ke aanchal