ilahi KHair ho wo aaj kyun kar tan ke baiThe hain
kisi ke qatl karne ko bhabhuka ban ke baiThe hain
subuk-sar hai wahi jo dusron ke ghar pe jata hai
jo apne ghar mein baiThe hain wo lakhon man ke baiThe hain
ghazab hai qahr hai shamat hai aafat hai qayamat hai
baghal mein wo adu ke aaj kyun ban-Than ke baiThe hain
kahen kya muddaa apna sunaen raaz-e-dil kyun kar
hamare samne kuchh aadmi dushman ke baiThe hain
maza kunj-e-lahad mein kyun na lun main saghar-e-mul ka
ki baada-KHwar pas aa kar mere madfan ke baiThe hain
KHuda ke waste un ko nikal kar jalwa dikhla do
ki KHwahish-mand kuche mein tere chitwan ke baiThe hain
hain pyase hum to muddat ke pila de jam-e-mai saqi
wo jab chahen piyen jo muntazir sawan ke baiThe hain
tabiat ho to aisi ho jo aadat ho to aisi ho
abhi wo tan ke baiThe the abhi wo man ke baiThe hain
agar raghbat na ho is dahr mein muzi ko muzi se
to kyun KHar-e-mughilan panw mein rahzan ke baiThe hain
nahin malum kis ko taDte hain kis se wada hai
ba-waqt-e-sham pas aa kar jo wo chilman ke baiThe hain
nahin parwa agar ai 'mashriqi' un ko bala jaane
agar wo hain khinche baiThe to hum bhi tan ke baiThe hain
Ghazal
Ilahi KHair ho wo aaj kyun kar tan ke baiThe hain
Sardar Genda Singh Mashriqi