ilahi KHair ho ab apne aashiyane ki
nigahen us ki taraf phir uThin zamane ki
hawa-e-tund guzar jae sar-nigun ho kar
ek aisa aashiyan koshish karo banane ki
KHizan ke aane se ho jaen gham-zada jo phul
unhen qasam hai bahaaron mein muskurane ki
kisi ki barq-e-nazar se na bijliyon se jale
kuchh is tarah ki ho tamir aashiyane ki
wo puchhte hain ki din kis tarah guzarte hain
ye koi baat hai 'taban' unhen batane ki
Ghazal
Ilahi KHair ho ab apne aashiyane ki
Anwar Taban