ilahi kash gham-e-ishq kaam kar jae
jo kal guzarni hai mujh par abhi guzar jae
tamam umr rahe hum to KHair kanTon mein
KHuda kare tera daman gulon se bhar jae
zamana ahl-e-KHirad se to ho chuka mayus
ajab nahin koi diwana kaam kar jae
hamara hashr to jo kuchh hua hua lekin
dua ye hai ki teri aaqibat sanwar jae
nigah-e-shauq wahi hai nigah-e-shauq 'shamim'
jo ek bar ruKH-e-yar par Thahar jae
Ghazal
Ilahi kash gham-e-ishq kaam kar jae
Shamim Jaipuri