ilahi aa na paDe phir koi gham-e-taza
uDa uDa sa hai ru-e-nigar ka ghaza
abhi to kitne hain jin par haram hai saqi
kahin ye toD na den mai-kade ka darwaza
ab inqilab ki zad mein hai teri duniya bhi
bahut bacha ke tu daman chali thi tannaza
ye ek qatra-e-KHun markaz-e-do-alam hai
tumhein nahin hai dil-e-na-tawan ka andaza
bhari bahaar mein ye meri chaak-damani
na jaane kab ka uThana paDa hai KHamyaza
Ghazal
Ilahi aa na paDe phir koi gham-e-taza
Khalilur Rahman Azmi