ila ya shah-e-KHuban kijiye shad
hue jate hain aashiq gham se barbaad
hamein tum yaad ho har lahza lekin
hamari bhi kabhi to kijiye yaad
giraftar-e-bala baalae tu yar
gham-e-dauran se hain jun sarw aazad
agar laila hai tu majnun hain hum
wagar shirin hai tu hum hain farhad
wahi irad kar sakta hai aaKHir
kiya hai jis ne awwal hum ko ijad
kisi shai ko durust-o-chust daem
na dekha dar-jahan-e-sust buniyaad
sher hai ashk-e-chashm-o-laKHt-e-dil se
uThaya chahiye ham-ab o ham-zad
gul-e-tar KHar se samjhen batar-tar
jo dekhen andaliban rote sayyaad
gulu-e-gul to pakDe aaKHir-kar
gae kab raegan bulbul ke fariyaad
abas karte ho bahr-e-tark takrar
azizo hun main duKHt-e-raz ka damad
nahin jis rose miad aamad-e-yar
wahi hum jaante hain roz-e-miad
bahut farzana the diwane hum ko
banae shoKH tiflan-e-pari-zad
hamal mirriKH mashuqon ne mera
kiya hai sar juda az tegh-e-be-dad
hazaran shukr mulk-e-sindh mein bhi
mera maskan hai shahr-e-hyderabad
janab haidar-e-safdar se 'matam'
talab auqat-e-mushkil mein kar imdad
Ghazal
Ila ya shah-e-KHuban kijiye shad
Maatam Fazl Mohammad