ikka dukka shaz-o-nadir baqi hain
apni aankhen jin chehron ki aadi hain
hum baulae un ko DhunDa karte hain
sare shahr ki galiyan hum par hansti hain
jab tak bahla pao KHud ko bahla lo
aaKHir aaKHir sare khilaune miTTi hain
kahne ko har ek se kah sun lete hain
sirf dikhawa hai ye baaten farzi hain
lutf siwa tha tujh se baaten karne ka
kitni baaten nok-e-zaban pe Thahri hain
tu ek bahta dariya chauDe chakle paT
aur bhi hain lekin nale barsati hain
sare kamre KHali ghar sannaTa hai
bas kuchh yaaden hain jo taq pe rakkhi hain
Ghazal
Ikka dukka shaz-o-nadir baqi hain
Shamim Abbas