اردو हिंदी
Ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai | Shaahi Shayari
ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai

Ghazal

Ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai

Misdaque Azmi

;

ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai
har haqiqat yahan tamsil tak aa pahunchi hai

ab uKHuwwat pe bharosa nahin karti duniya
aagahi niyyat-e-qabil tak aa pahunchi hai

ai mere munis o gham-KHwar mujhe marne de
baat ab hukm ki tamil tak aa pahunchi hai

ab suKHan-war hi nahin KHud ko musawwir likhiye
shaeri ab fan-e-tashkil tak aa pahunchi hai

koshish-e-amn-o-aman mein hi yahan logon ki
zindagi shorish-e-tawil tak aa pahunchi hai

be-hisi dekhiye is daur ke insanon ki
jism kya ruh ki tahlil tak aa pahunchi hai

fikr-e-'misdaq' ne hai KHas masafat kar li
aap ki aankh bhi is jhil tak aa pahunchi hai