ek zara si chah mein jis rose bik jata hun main
aaine ke samne us din nahin aata hun main
ranj gham us se chhupata hun main apne lakh par
paDh hi leta hai wo chehra phir bhi jhuTlata hun main
qarz kya laya main KHushiyan zindagi se ek din
rose karti hai taqaza aur jhunjhlata hun main
hausla to dekhiye mera ghazal ki khoj mein
apne hi sine mein KHanjar sa utar jata hun main
de saza-e-maut ya phir baKHsh de tu zindagi
kashmakash se yar teri saKHt ghabraata hun main
maun wo paDhta nahin aur shabd bhi sunta nahin
jo bhi kahna chahta hun kah nahin pata hun main
KHwab sach karne chala tha ganw se main shahr ko
nind bhi kho kar yahan 'alok' pachhtata hun main
Ghazal
Ek zara si chah mein jis rose bik jata hun main
Alok Yadav