ek zamin-doz aasman hun main
han meri jaan be-nishan hun main
mujh ko tauhid ho chuki azbar
la-makan ka naya makan hun main
dast-e-qudrat ki shah-kari ka
KHud mein aabaad ek jahan hun main
kab se aamada sajda-rezi par
aab-o-gil hi ke darmiyan hun main
maut se kahiye aae fursat mein
abhi masruf-e-imtihan hun main
kis tarah se bane ziyaada baat
zarra-e-kun hun kam-zaban hun main
lau se bahti hui ziya ho tum
lau se uThta hua dhuan hun main
jaise tu mera raaz-e-pinhan hai
aise hi tera raaz-dan hun main
jis se larzan hai pattharon ka wajud
aaina-zad wo fughan hun main
maut to kab ki mar chuki lekin
bazm-e-imkan mein jawedan hun main
tum tasalsul nai bahaaron ka
aur ujDi hui KHizan hun main
teri yaadon ka is mein dosh nahin
be-sabab aaj nim-jaan hun main
Ghazal
Ek zamin-doz aasman hun main
Nadeem Sirsivi