ek zaKHm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka
maqtal mein paDe rahiye qatil nahin aane ka
ab kuch karo yaro sahra se ki sunte hain
sahra mein ab aainda mahmil nahin aane ka
waiz ko KHarabe mein ek dawat-e-haq di thi
main jaan raha tha wo jahil nahin aane ka
buniyaad-e-jahan pahle jo thi wahi ab bhi hai
yun hashr to yaran-e-yak-dil nahin aane ka
but hai ki KHuda hai wo mana hai na manunga
us shoKH se jab tak main KHud mil nahin aane ka
gar dil ki ye mahfil hai KHarcha bhi ho phir dil ka
bahar se to saman-e-mahfil nahin aane ka
wo naf pyale se sarmast kare warna
ho ke main kabhi us ka qail nahin aane ka
Ghazal
Ek zaKHm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka
Jaun Eliya