ek yahi wasf hai is mein jo amar lagta hai
wo kaDi dhup mein bargad ka shajar lagta hai
yun to chahat mein nihan june ki hiddat hai magar
sard lahje mein december ka asar lagta hai
jab se jaana ki wo ham-shahr hai mera tab se
shahr-e-lahore bhi jadu ka nagar lagta hai
jaane kab gardish-e-ayyam badal Dale tujhe
jit kar tujh ko mujhe haar se Dar lagta hai
chahe kitni hi sajawaT se muzayyan ho magar
man nazar aae to ghar asl mein ghar lagta hai
is qadar us ki nigahon mein taqaddus hai nihan
sar jhukati hun to pipal ka shajar lagta hai

Ghazal
Ek yahi wasf hai isMein jo amar lagta hai
Priya Tabita