ek yaadgar chahiye koi nishan rahe
turbat meri rahe na rahe aasman rahe
kyun dud-e-ah nim-shabi raegan rahe
ek aur aasman na ta-asman rahe
koson nishan-e-manzil-e-ulfat nikal gae
hum mahw-e-naghma-e-jaras-karwan rahe
dil intiha-pasand hai shauq-e-jaga nahin
wo mehrban rahe to bahut mehrban rahe
joru-o-jafa-e-daur-e-falak hain ba-qadr-e-ishq
ab jis qadar kisi pe koi mehrban rahe
al-muKHtasar hayat taDapne ka nam hai
pahlu mein dil rahe ki KHayal-e-butan rahe
soz-e-fughan ne aah qafas bhi jala diya
ab aadi-e-quyud batao kahan rahe
rangini-e-jamal fareb-e-KHayal hai
'talib' wagarna dil mein tamanna kahan rahe
Ghazal
Ek yaadgar chahiye koi nishan rahe
Talib Baghpati