ek yaad thi kisi ki jo baadal bani rahi
sahra-nasib ke liye chhanw ghani rahi
wo naqsh hun jo ban ke bhi ab tak na ban saka
wo baat hun jo kah ke bhi naguftani rahi
patthar ka but, samajh ki ye kis shai ko chhu liya
barson tamam jism mein ek sansani rahi
is jaan-e-gul ko dekhte kaise ki aaj tak
ek rang-o-bu ki samne chadar tani rahi
wo dhund thi ki kuchh bhi dikhai na de saka
wo habs tha ki kaifiyat-e-jaankani rahi

Ghazal
Ek yaad thi kisi ki jo baadal bani rahi
Murtaza Birlas