ek yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte
ye baat kisi aur se kah bhi nahin sakte
tu apne gahan mein hai to main apne gahan mein
do chand hain ek abr mein gah bhi nahin sakte
ham-jism hain aur donon ki buniyaaden amar hain
ab kaise bichhaD jaen ki Dhah bhi nahin sakte
dariya hun kisi roz muawin ki tarah mil
ye kya ki hum ek lahr mein bah bhi nahin sakte
KHwab aaen kahan se agar aankhen hon purani
aur subh tak is KHauf mein rah bhi nahin sakte
Ghazal
Ek yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte
Saqi Faruqi