ek wo bhi din the tujh se mera rabta na tha
sanjidgi se tere liye sochta na tha
nafrat mili to zom-e-wafa TuT TuT kar
bikhra kuchh is tarah ki koi wasta na tha
kamre mein phailti hi gai raushni ki lahr
kirnon ka jal tha ki kahin TuTta na tha
dekha tujhe to chand bhi peDon mein chhup gaya
waise to shahr bhar mein koi chand sa na tha
wo apni zat mein hi muqayyad raha 'niyaz'
sab dekhte the us ko koi DhunDhta na tha
Ghazal
Ek wo bhi din the tujhse mera rabta na tha
Niyaz Husain Lakhwera