ek wahshat si dar aai hai aankhon mein
apni surat dhundlai hai aankhon mein
aaj chaman ka haal na puchho ham-nafaso
aaj KHizan ki rut aai hai aankhon mein
barson pahle jis dariya mein utra tha
ab tak us ki gahrai hai aankhon mein
in baaton par mat jaana jo aam huin
dekho kitni sachchai hai aankhon mein
in mein ab bhi harf-e-mohabbat basta hai
isi liye to gahrai hai aankhon mein
hath pakaD kar jis ka chalna sikha hai
us ke nam ki binai hai aankhon mein
dhup 'azim' ab phaili hai jo shiddat se
to sae ki ranai hai aankhon mein
Ghazal
Ek wahshat si dar aai hai aankhon mein
Tahir Azeem