ek wahm ki surat sar-e-diwar-e-yaqin hain
dekho to hain maujud na dekho to nahin hain
hum se kashish-e-mauja-e-raftar na puchho
hum ahl-e-mohabbat to giraftar-e-zamin hain
is rah se haT kar guzar ai naqa-e-laila
is gosha-e-sahra mein hum aaram-guzin hain
chhoDen bhi to kis tarah hum is shahr ko chhoDen
is najd ke paband tere KHak-nashin hain
is daera-e-raushni-o-rang se aage
kya jaaniye kis haal mein basti ke makin hain
wo tab bhi gurezan the magar dushman-e-dil the
wo ab bhi gurezan hain magar dushman-e-din hain
har marhal-e-bud tha nabud ki manzil
lekin tere hote hamein lagta tha hamin hain
kis taur sameTen teri palkon ke sitare
kahne ko to shaer hain magar apne tain hain

Ghazal
Ek wahm ki surat sar-e-diwar-e-yaqin hain
Najeeb Ahmad