اردو हिंदी
Ek umr mah-o-sal ki Thokar mein raha hun | Shaahi Shayari
ek umr mah-o-sal ki Thokar mein raha hun

Ghazal

Ek umr mah-o-sal ki Thokar mein raha hun

Asghar Gorakhpuri

;

ek umr mah-o-sal ki Thokar mein raha hun
main sang sahi phir bhi sar-e-rah-e-wafa hun

aap apne hi na-karda gunahon ki saza hun
aawaz hun lekin tere honTon se juda hun

kya kam hai ki ruswa-e-jahan hun teri KHatir
main dagh hun lekin tere mathe pe saja hun

pani mein nazar aati hai ek chand si surat
pyasa hun magar der se dariya pe khaDa hun

ek tu hi nahin aur bhi KHuban-e-jahan hain
tujh ko nahin paya hai to auron se mila hun

sab des mere des hain sab log mere log
kya jaaniye main kaun si miTTi ka bana hun