ek umr ki aur zarurat hai wahi sham-o-sahar karne ke liye
wo baat jo tum se kah na sake use bar-e-digar karne ke liye
kabhi zikr kiya teri zulfon ka aur jati sham ko rok liya
kabhi yaad kiya tere chehre ko aaghaz-e-sahar karne ke liye
foot-path pe bhi sone na diya tere shahr ke izzat-daron ne
hum kitni dur se aae the ek raat basar karne ke liye
us aankh ne jis ki qismat mein sach-much ke dar-o-diwar na the
KHwabon ke nagar aabaad kiye hasrat ki nazar karne ke liye
is behis duniya ke aage kisi lahr ki pesh nahin jati
ab bahr ka bahr uchhaal koi ise zer-o-zabar karne ke liye
Ghazal
Ek umr ki aur zarurat hai wahi sham-o-sahar karne ke liye
Ahmad Mushtaq