ek umr fasane gham-e-jaanan ke gaDhe hain
tare ufuq-e-sher pe kya kya na jaDe hain
sahra mein hai jal-thal to samundar mein bagule
hum waza ke paband hain chup-chap paDe hain
aae koi jae hamein kya kaam ki hum log
khambe hain ki saDkon ke kinare pe gaDe hain
KHud par jo paDi hai to dhaDakta nahin dil bhi
ghairon ke liye kabe mein ja ja ke laDe hain
mehdi koi aaega badal dega muqaddar
kya jaaniye is aas mein kis din se paDe hain
hum kuchh bhi hon lekin hain tere panw ki miTTi
charche tere kuchh bhi na hon phir bhi to baDe hain
ye martaba hasil hai teri bazm ko jin se
wo log abhi tak pas-e-diwar paDe hain
angare baraste hain agar kuchh to hai warna
is munh se sada phul mohabbat ke jhaDe hain
mauquf karo ham-suKHani 'mir' ki 'shohrat'
arbab-e-qalam par ye shab-o-roz kaDe hain

Ghazal
Ek umr fasane gham-e-jaanan ke gaDhe hain
Shohrat Bukhari