اردو हिंदी
Ek tum ki ho be-KHabar sada ke | Shaahi Shayari
ek tum ki ho be-KHabar sada ke

Ghazal

Ek tum ki ho be-KHabar sada ke

Ayub Khawar

;

ek tum ki ho be-KHabar sada ke
mausam hai ki hath mal raha hai

zahir mein saba-KHiram KHushbu
baatin mein nifaq pal raha hai

ai lazzat-e-hijr yaad rakhna
ye lamha-e-wasl khal raha hai

aaine mein aks Dhal raha hai
pani mein charagh jal raha hai

aankhon mein ghubar manzilon ka
qadmon mein sarab chal raha hai

jaise koi yaad aa raha ho
aankhon mein nasha pighal raha hai

hum us ke mizaj-ashna hain
jo baat ka ruKH badal raha hai