ek to ye zindagi hi sarasar fareb hai
aur us pe aagahi bhi barabar fareb hai
rahne do un ko ishq-o-junun ke sarab mein
talKHi hai utni sach mein ki behtar fareb hai
tabir tere KHwab ki malum hai mujhe
tujh kushta-e-guman ka muqaddar fareb hai
ek aur aasman bhi hai is aasman par
goya yahan fareb ke upar fareb hai
hai waqia kuchh aur hi 'kashif' pas-e-hijab
jo aankh dekhti hai wo manzar fareb hai
Ghazal
Ek to ye zindagi hi sarasar fareb hai
Kashif Rafiq