ek tera dard hai tanhai hai ruswai hai
tin lafzon mein meri zist simaT aai hai
zindagi uljhe hue KHwab ka ibham kabhi
kabhi us shoKH ki uThti hui angDai hai
kitne pechida hain jazbaat-e-ghazal kya kahiye
KHama hairan idhar salb ye goyai hai
ho wo phulon ka tabassum ki ghazalon ka KHiram
jo ada aai hai tujh mein wo nikhar aai hai
sard si aql ke hamrah rawan hain 'mani'
tabish-e-ishq mayassar mayassar hi nahin aai hai
Ghazal
Ek tera dard hai tanhai hai ruswai hai
sulaiman ahmad mani