ek tilism-e-ajab-numa hun main
kya bataun tumhein ki kya hun main
hai zawal apna ek nishan-e-kamal
bado ki tarah ghaT gaya hun main
kya nishan puchhte ho tum mera
rah-e-gum-gashta ka pata hun main
hai ye hairat ki hun tajassum-e-dard
aur har dard ki dawa hun main
meri shohrat hai meri gumnami
quwwat-e-bazu-e-huma hun main
rah-e-ulfat mein naqsh-e-pa ki tarah
KHak ho ho ke miT gaya hun main
saghar-e-ishq kar gaya be-KHud
hosh kis ko nahin hun ya hun main
KHak samjho tum aabru meri
dard-e-eazaz ki baha hun main
dam ghanimat hai saliko mera
jaras-e-daur ki sada hun main
hun surahi mein baada-e-ahmar
aur mai-e-surKH mein nasha hun main
jis tarah se kanwal ho pani mein
ho ke duniya mein phir juda hun main
KHaksari hai meri jauhar-e-zat
KHak mein misl-e-kimiya hun main
dur durj-e-wafa ki aab hun main
dil ke aaine ki safa hun main
aaj hai meri dhak aalam mein
ru-shanas-e-shah-o-gada hun main
dhum hai fann-e-sher mein meri
qamar-e-ilm ki ziya hun main
likhun gar dastan-e-ranj-o-alam
dil-e-ba-shikasta ki sada hun main
gar karun zikr-e-saz-e-aish-o-tarab
tuti-e-KHuld ki nawa hun main
gar main likkhun bayan-e-arsa-e-razm
nawak-e-tarkash qaza hun main
ek is nazm par hai kya mauquf
nur sham-e-ulum ka hun main
qadr hai meri qadr-e-ilm-o-hunar
kya zamane mein dusra hun main
hun to sab kuchh pe kuchh nahin 'kaifi'
surat-e-mauja-e-fana hun main
Ghazal
Ek tilism-e-ajab-numa hun main
Dattatriya Kaifi