ek tir nahin kya teri mizhgan ki safon mein
bah jaen lahu ban ke ye hasrat hai dilon mein
dariya ho to maujon mein khule is ka sarapa
pagal hai hawa chiKHti phirti hai banon mein
teshe ki sada meri hi fariyaad thi goya
meri hi tarah tha koi patthar ki silon mein
yun aaj phir ek hasrat-e-nakaam pe roe
jaise na the pahle kabhi aazurda-dilon mein
ab subh se ta-sham hai sadiyon ki masafat
har lamha-e-be-qaid hai zanjir dinon mein
raston pe umaDta hua phulon ka samundar
hairan hun kis tarah samaya hai gharon mein
khencha tha junun ne jise daman-e-hawa par
dekha to wahi shakl hai miTTi ki tahon mein
kya Theren qadam dasht-e-nawardan-e-wafa ke
kanTa to nahin panw mein sauda hai saron mein
tausif wo yaadon ka dhuan hai ki sar-e-bazm
chehre nazar aate hain charaghon ki lawon mein
Ghazal
Ek tir nahin kya teri mizhgan ki safon mein
Tauseef Tabassum