اردو हिंदी
Ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya | Shaahi Shayari
ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya

Ghazal

Ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya

Muneer Niyazi

;

ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya
mari jo chiKH rail ne jangal dahal gaya

soya hua tha shahr kisi sanp ki tarah
main dekhta hi rah gaya aur chand Dhal gaya

KHwahish ki garmiyan thin ajab un ke jism mein
KHuban ki sohbaton mein mera KHun jal gaya

thi sham zahr-e-rang mein Dubi hui khaDi
phir ek zara si der mein manzar badal gaya

muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'
ek bar dil to dhaDka magar phir sambhal gaya