ek tasawwur-e-be-karan tha aur main
dard ka sail-e-rawan tha aur main
gham ka ek aatish-fishan tha aur main
dur tak gahra dhuan tha aur main
kis se main un ka Thikana puchhta
samne KHali makan tha aur main
mere chehre se numayan kaun tha
aainon ka ek jahan tha aur main
ek shikasta naw thi ummid ki
ek bahr-e-be-karan tha aur main
justuju thi manzil-e-mauhum ki
ye zamin thi aasman tha aur main
kaun tha jo dhyan se sunta mujhe
qissa-e-ashuftagan tha aur main
hath mein 'ajmal' koi tesha na tha
azm tha koh-e-giran tha aur main
Ghazal
Ek tasawwur-e-be-karan tha aur main
Kabir Ajmal